Barsaat Ki Dhun Song Lyrics – Jubin Nautiyal

Barsaat-Ki-Dhun-song-lyrics
Barsaat Ki Dhun song is sung by Jubin Nautiyal. The song features Jubin Nautiyal, Gurmeet Choudhary & Karishma Sharma.
Song Title:Barsaat Ki Dhun
Singer:Jubin Nautiyal
Lyrics By:Rashmi Virag
Music:Rochak Kohli
Directed By:Ashish Panda

Barsaat Ki Dhun Lyrics

Aao ek bheegi huyi si kahani sunata hoon
Jab aasmaan se boondein nahi
Mohabbat barsi hai
Barsaat ne aisi dhun chhedi
Jiske liye zindagi sadiyon tarsi thi

Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain boondein tum pe

Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain boondein tum pe
Nazara uff kya hota hai
Ghuzarti hain jab zulfon se
Door kahin ab jao na tum

Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun

Dil mein yehi ek gham rehta hai
Sath mere tu kam rehta hai Haan dil mein yehi ek gham rehta hai
Sath mere tu kam rehta hai

Chhod ke abhi jao na tum
Sun sun sun barsaat ki dhun sun

Haan dheere dheere haule haule
Bhiga dengi yeh barsaatein

Haan dheere dheere haule haule
Bhiga dengi yeh barsaatein
Jaane kahan phir milengi
Humein aisi mulakaatein

Sambhalun kaise main dil ko
Deewana chahe bas tumko
Khwahishon mein hi
Jal raha hoon main yahan

Woh pehli si baarish banke
Baras jao na tum hum pe
Hawa ka rukh badal jaaye
Mohabbat karna tum aise
Khwab mera yeh todo na tum

Jismon se barasti baarish
Ne rooh bhiga di hai
Is mausam ki sazish ne
Yoon neend udaa di hai

Waise to dubaane ko bas
Ik boond hi kaafi hai
Socho to zara kya hoga
Abhi raat yeh baaki hai
Sath mere beh jao na tum

Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum

Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum
Hosh bhi ho jaane do ghum

Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun

This song is sung by Jubin Nautiyal, music by Rochak Kohli; lyrics by Rashmi Virag. The song features Jubin Nautiyal, Gurmeet Choudhary & Karishma Sharma. The video is directed by Ashish Panda.